Manzaron Ki BhiD Aisi To Kabhi Dekhi Na Thi
manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi
ganw achchha tha magar us mein koi laDki na thi
ruh ke andar KHala hai ye mujhe malum tha
khokhla hai jism bhi is ki KHabar pahunchi na thi
hath thama hai sada ke waste waise magar
sath us ka chhoDne mein kuchh burai bhi na thi
un dinon bhi dard ka saya mere ham-rah tha
jab dhuan ban kar wo mere zehn par chhai na thi
jazb ho jaane ka qissa KHud se bhi mansub kar
bhul meri thi agar tu bhi koi dewi na thi
rang pakka ho chala tha yaad aata hai magar
dhup mere jism par tab Thik se bhigi na thi
KHwahishon ka wo jazira bhi to aaKHir bah gaya
KHauf-o-KHatra ki jahan par koi aabaadi na thi
(688) Peoples Rate This