Garche Main Ban Ke Hawa Tez Bahut Tez UDa
garche main ban ke hawa tez bahut tez uDa
wo bagula tha magar mere taaqub mein raha
mujh se kitnon ko usi din ki shikayat hogi
ek main hi nahin jis par ye kaDa waqt paDa
aur tarik meri rahguzar ko kar de
tu magar apni tamanna ke sitare na bujha
ab to har waqt wahi itna rulata hai mujhe
jis ko jate hue main dekh ke ro bhi na saka
tum se chaha tha bahut tark-e-talluq kar lun
jaane kyun mujh se meri jaan kabhi aisa na hua
umr bhar yaad raha apni wafaon ki tarah
ek wo ahd jise aap ne pura na kiya
koi suraj to mile koi sahaara to bane
chand ka hath mere hath se phir chhuT gaya
(693) Peoples Rate This