Wo Rasta
chalte jata hun
us ki bahen thame
wo thakta nahin
main rukta nahin hun
bachpan se sath hun
badle hai rang kai
us ne aur main ne
aksar tanhai mein
hum sath hote hai
wo patto se lada hua
kabhi dhup mein
jalta hua
barsat mein na chahe
bhigta hua
wo rasta
jo mere
ghar se nikal kar
dur jangalon mein
jata hai
wo aaj bhi
tanhai mein
mera sath nibhata hai
us se bachpan ki
kitni yaaden hai juDi
mere paida hone par
wo miTTi ka tha
wo mujh ko paTakta
main use paTakta tha
akasr aapa-dhapi
mein hum donon lal-pile
ho jate the
ek bar zor se
paTak diya tha
main ne use
kuchh kharonche
aai mujhe
us ki bhi
kalai chhil
gai thi
donon mil kar
sath chiKHe the
wo rasta
jo mere
ghar se nikal kar
dur jangalon mein
jata hai
wo aaj bhi
tanhai mein
mera sath nibhata hai
mere sath wo bhi
kapDe badalne laga
lal se pila
pile se inTe ka
inTe se patthar ka
patthar se Damar ka
ho gaya
badalte samay ke
sath main aur rasta
badal gaya
lekin
lekin
hum aaj bhi
sath chalte hai
wo rasta
jo mere
ghar se nikal kar
dur jangalon mein
jata hai
wo aaj bhi
tanhai mein
mera sath nibhata hai
is bar jab
us se milne gaya
to baDa dukhi tha wo
kahta hai
purani Damar sukhti
nahin
ye nai uDel dete
teri surKH yaado ko
khan kar
kahi Dhakel dete hai
wo rasta
jo mere
ghar se nikal kar
dur jangalon mein
jata hai
wo aaj bhi
tanhai mein
mera sath nibhata hai
(729) Peoples Rate This