Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3385a4ecc3b623f524dc37f1cfdb60ca, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qabr Mein Zinda Hun - Kamal Upadhyay Poetry In English - Darsaal

Qabr Mein Zinda Hun

kyun nahin sone dete mujh ko

jab zinda tha tab par bhi yahi karte the

yahan to sukun do mujhe

har roz chale aate ho dafnane

ek murda lash ko zinda kar jate ho

abhi to gala nahin main puri tarah

suna hai kuchh din mein

khod kar mujh ko

ek chhoTe bakse mein bhar doge

ab yahi bacha hai

murdon ko bhi chain ki sans na lene dena

wo jo cross

mere sine par lagaya hai

haTa do use

chubhta hai mujhe

karwaT bhi nahin le pata

kyunki jagah kam hai yahan

paDos ki qabr mein

ek naya musafir aaya hai

baDa KHush-mizaj hai

kahta hai ye zindagi

jine mein baDa maza aata hai

ab mana kar do logon ko

na jalaya kare mom-batti

us ki pighalti bunden

jab girti hai mere upar

to chhaale nikal aate hain

chalo ab chalta hun

aaj sari raat

jag kar kaT di

chalo ab chal kar sota hun

(867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qabr Mein Zinda Hun In English By Famous Poet Kamal Upadhyay. Qabr Mein Zinda Hun is written by Kamal Upadhyay. Read famous Poem Qabr Mein Zinda Hun for youth and Student by Kamal Upadhyay. Free Download Qabr Mein Zinda Hun in PDF.