Uruj Auron Ko Kuchh Din Hai Ahrman Ki Tarah
uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah
farogh kis ko hai rindon ke bankpan ki tarah
mera KHayal nahin hai to aur kya hoga
guzar gaya tere mathe se jo shikan ki tarah
ye sar-zamin-e-gul-o-lala so bhi jati hai
libaada barf ka oDhe hue kafan ki tarah
kabhi to guzrunga is rahguzar se ho kar
KHud apni tak mein baiTha hun rahzan ki tarah
KHizan ka KHauf mujhe khae ja raha hai 'kamal'
chinar surKH na hon aatish-e-suKHan ki tarah
(674) Peoples Rate This