Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd3a3198d047eb41f2644912dc4c8c5b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Sar Kab Kisi Darbar Mein KHam Hota Hai - Kamal Ahmad Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Mera Sar Kab Kisi Darbar Mein KHam Hota Hai

mera sar kab kisi darbar mein KHam hota hai

kucha-e-yar mein lekin ye qadam hota hai

pursish-e-haal bhi itni ki main kuchh kah na sakun

is takalluf se karam ho to sitam hota hai

shaiKH mai-KHane mein karta hai iram ki baaten

isi mai-KHane ka ek gosha iram hota hai

ek dil hai ki ujaD jae to basta hi nahin

ek but-KHana hai ujDe to haram hota hai

rahbar ra-nawardi se pareshan hai 'kamal'

jis taraf jae mera naqsh-e-qadam hota hai

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Sar Kab Kisi Darbar Mein KHam Hota Hai In English By Famous Poet Kamal Ahmad Siddiqi. Mera Sar Kab Kisi Darbar Mein KHam Hota Hai is written by Kamal Ahmad Siddiqi. Read famous Poem Mera Sar Kab Kisi Darbar Mein KHam Hota Hai for youth and Student by Kamal Ahmad Siddiqi. Free Download Mera Sar Kab Kisi Darbar Mein KHam Hota Hai in PDF.