Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_75f2a24718e4d4c9348e01956695f94d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mein Jo Baat KhaTakti Hai Dahan Tak Pahunche - Kamal Ahmad Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Dil Mein Jo Baat KhaTakti Hai Dahan Tak Pahunche

dil mein jo baat khaTakti hai dahan tak pahunche

KHamushi marhala-e-arz-e-suKHan tak pahunche

mahram-e-husn-e-bahaaran to nahin ho sakti

wo nazar sirf jo gul-ha-e-chaman tak pahunche

zindagi nam isi mauj-e-mai-e-nab ka hai

mai-kade se jo uThe dar-o-rasan tak pahunche

gulsitanon ka ijara nahin fasl-e-gul par

fasl-e-gul wo hai jo har dasht-o-daman tak pahunche

ahd hum ne bhi kiya tha na milenge us se

bar-ha hum bhi usi ahd-shikan tak pahunche

baat karta hai ba-zahir baDi sada si 'kamal'

jo suKHan-war hain wahi us ke suKHan tak pahunche

(600) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Jo Baat KhaTakti Hai Dahan Tak Pahunche In English By Famous Poet Kamal Ahmad Siddiqi. Dil Mein Jo Baat KhaTakti Hai Dahan Tak Pahunche is written by Kamal Ahmad Siddiqi. Read famous Poem Dil Mein Jo Baat KhaTakti Hai Dahan Tak Pahunche for youth and Student by Kamal Ahmad Siddiqi. Free Download Dil Mein Jo Baat KhaTakti Hai Dahan Tak Pahunche in PDF.