Tere Mere Ghar Ki Haalat Bahar Kuchh Aur Andar Kuchh
tere mere ghar ki haalat bahar kuchh aur andar kuchh
jaise ho phulon ki rangat bahar kuchh aur andar kuchh
bahar bahar KHamoshi hai andar andar hangama
kaisi hai ye jism ki hiddat bahar kuchh aur andar kuchh
lafz hai kuchh aur mani kuchh har misre mein fankar hai gham
aise waise sher ki lazzat bahar kuchh aur andar kuchh
kyun na aankh mein aansu aae kyun na dil ko choT lage
apne apne des ki haalat bahar kuchh aur andar kuchh
koi na shayad jaan sakega suraj ki matwali chaal
shahr mein kyun hai dhup ki shiddat bahar kuchh aur andar kuchh
gahri nazar walon mein 'aKHtar' raushan hai pahchan alag
phir bhi kyun hai aap ki izzat bahar kuchh aur andar kuchh
(787) Peoples Rate This