Zaban Pe Aah Na Sine Pe Dagh Laya Main
zaban pe aah na sine pe dagh laya main
tumhaari bazm se kya na-murad aaya main
suragh-e-mehr-o-mohabbat ka DhunDiyo na kahin
ki un ki rakh hawa mein bikher aaya main
zamin ki shamon se jab dil ko raushni na mili
falak se chand sitare utar laya main
KHayal o fikr ki aawargi are tauba
nikal gaya jo kahin hath hi na aaya main
hazar qafile marg o hayat ke guzre
na dard ne kabhi thama na muskuraya main
shabab par tha chaman intiKHab-e-gul kaisa
tamam phul nazar mein sameT laya main
koi safar sa safar tha koi thi baT si baT
rah-e-hayat pe do-gam chal na paya main
bajae nala raza bar-ha hua aisa
ghamon ki shorish-e-paiham pe muskuraya main
(900) Peoples Rate This