Qalam UThaun Musalsal Rawan-dawan Likh Dun
qalam uThaun musalsal rawan-dawan likh dun
koi paDhe na paDe main kahaniyan likh dun
jahan tak aaen tasawwur mein wadiyan likh dun
phir un pe nam tumhaara yahan wahan likh dun
jahan mile mujhe roTi use likhun dharti
jahan pahunch na sakun us ko aasman likh dun
nikal chalun kahin husn-o-junun ke jangal mein
hiran ki aankh mein kajal ki Doriyan likh dun
kahani KHatm hui lekin is ka kya kije
jo lafz yaad ab aae unhen kahan likh dun
jo zehn mein hain huruf un ko kaam mein laun
jo dukh paDe hi na hon un ki dastan likh dun
kuchh aisa patr likhun aap ko jo bha jae
mara hun aap ke gin apni KHamiyan likh dun
ghazal to kah dun 'raza' ye bhi to ijazat ho
jise tu hindawi kahta tha wo zaban likh dun
(1183) Peoples Rate This