Manzil Ki Dhum Dham Se Jab Ji UchaT Gaya
manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya
rah-gir jaise sainkaDon raston mein baT gaya
afsos dil tak aane ki rahen na khul sakin
koi faqat KHayal tak aa kar palaT gaya
hum taul baiThe subh-dam insan ko sae se
suraj ke sar pe aate hi saya simaT gaya
kya jaane kis chaTan se Takra gaya hai dil
chalta hua safina achanak ulaT gaya
ab koi DhunD-DhanD ke lao naya wajud
insan to bulandi-e-insan se ghaT gaya
manzil pe gard-e-wahm-o-guman thi wo dhul gai
raste mein aql o hosh ka patthar tha haT gaya
mahfil bhi nur-bar hai saqi bhi KHum ba-dosh
mere hi naw nosh ka meyar ghaT gaya
manzil kahin mili na mili lekin ai 'raza'
manzil ke ishtiyaq mein rasta to kaT gaya
(825) Peoples Rate This