Jis Ne Ek Ahd Ke Zehnon Ko Jila Di Hogi
jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi
mere aawara KHayalat ki bijli hogi
le uDi hai tere hathon ki hina pichhle pahar
mere uljhe hue afkar ki aandhi hogi
jitni mil jaegi kanTon ki chubhan le lunga
jo bhi haalat dil-e-be-tab ki hogi hogi
hum na manenge KHamoshi hai tamanna ka mizaj
han bhari bazm mein wo bol na pai hogi
meri na-kaami-e-haalat ke dhaare ke siwa
ek naddi bhi to be-ab na bahti hogi
hai 'raza' aaj ka aalam to asir-e-ibham
yar zinda hain to kal aur taraqqi hogi
(906) Peoples Rate This