Raat Ki Zulfen Bhigi Bhigi Aur Aalam Tanhai Ka
raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka
kitne dard jaga deta hai ek jhonka purwai ka
uDte lamhon ke daman mein teri yaad ki KHushbu hai
pichhli raat ka chand hai ya hai aks teri angDai ka
kab se na jaane galiyon galiyon sae ki surat phirte hain
kis se dil ki baat karen hum shahr hai us har jai ka
ishq hamari barbaadi ko dil se duaen deta hai
hum se pahle itna raushan nam na tha ruswai ka
sher hamare sun kar aksar dil wale ro dete hain
hum bhi liye phirte hain dil mein dard kisi shahnai ka
tum ho 'kalim' ajab diwane baat anokhi karte ho
chah ka bhi arman hai dil mein KHauf bhi hai ruswai ka
(1885) Peoples Rate This