Iradon Ki Shikaston Par Sana-KHwani Se Pahchana
iradon ki shikaston par sana-KHwani se pahchana
KHudaya main ne tujh ko kitni aasani se pahchana
kai logon ne phalte phulte peDon se jaana hai
magar main ne tujhe sabze ki uryani se pahchana
mere sajde isi duniya mein mere kaam aae hain
mere qatil ne mujh ko meri peshani se pahchana
kabhi dekha ki dil kaise sikuDta hai zarurat par
kabhi duniya ko paison ki farawani se pahchana
rag-o-pai mein dar aata hai 'sharar' har sher ka nashsha
ghazal ko barha tartib-e-jismani se pahchana
(769) Peoples Rate This