Haqiqat Hai Ise Manen Na Manen GhaTti BaDhti Hain
haqiqat hai ise manen na manen ghaTti baDhti hain
wo jhuTi hon ki sachchi dastanen ghaTti baDhti hain
kisi pahlu se koi tir aa kar chaT jaega
hazaron zawiye hain aur kamanen ghaTti baDhti hain
falak-giri ki KHwahish baal-o-par ko rakh kar degi
hawas-rano parindon ki uDanen ghaTti baDhti hain
shikam-seri ne dastar-KHwan bichhwae hain logon se
mazaq-e-zaiqa samho zabanen ghaTti baDhti hain
bulandi aur pasti ka koi mear tai kar lo
zamin tang ho rahi hai aur chaTanen ghaTti baDhti hain
main in chandi ke bazaron pe apne dant kya gaDun
chamakti phiki paDti sab dokanen ghaTti baDhti hain
'sharar' main aisi miTTi par asas-e-fan nahin rakhta
rasanon ka bharosa kya rasanen ghaTti baDhti hain
(802) Peoples Rate This