Bahut Tha Naz Jin Par Hum Unhin Rishton Pe Hanste Hain
bahut tha naz jin par hum unhin rishton pe hanste hain
hamin kya rasm-e-duniya hai ki sab apnon pe hanste hain
hum aise log diwaron pe hansne ke nahin qail
magar jab ji mein aata hai to darwazon pe hanste hain
diwana kar gaya aaKHir hamein farzana-pan apna
ki jin logon ko rona tha hum un logon pe hanste hain
ab is ko zindagi kahiye ki ahd-e-be-hisi kahiye
gharon mein log rote hain magar raston pe hanste hain
yahan apna paraya kuchh nahin KHushbu pe mat jao
galon mein paDne wale phul guldaston pe hanste hain
samajhne wale kya kya kuchh samajhte hain 'sharar'-sahab
rag-e-mani phaDakti hai to hum lafzon pe hanste hain
(621) Peoples Rate This