Ana Zada Tha Kahin Par Kahin Par Aan-zada
ana zada tha kahin par kahin par aan-zada
zamin ki zad se nikalne tak aasaman-zada
yahan pe dasht o samundar ki baat mat karna
hamare shahr ka har shaKHs hai makan-zada
KHayal-o-KHwab ke mausam badalne wale hain
hujum wahm-o-tasawwur mein hai guman-zada
to baal-o-par ki numaish pe harf aa jata
hawa ka ruKH na palaTta agar uDan zada
hamare baad hamein DhunDne ke sab raste
hamari KHak mein mil jaenge nishan-zada
bhanwar se Dub ke ubhra to ye khula mujh par
samundari thin hawaen main baadban-zada
sab apna harf-e-maani bana rahe hain 'sharar'
ye lafz lafz to sadiyon se hain zaban-zada
(781) Peoples Rate This