Aaina-dar-aina Qad-awari Ka Karb Hai

aaina-dar-aina qad-awari ka karb hai

gum-shuda danish-wari hai KHud-sari ka karb hai

mera dukh ye hai ki main na-mo'tabar lashkar mein hun

sar-ba-neza main nahin hun ek jari ka karb hai

bhuk ko nisbat nahin gehun ki paidawar se

mera dastar-KHwan KHali tashtari ka karb hai

ek taraf yaron ki yari ka bharam khulta hua

ek taraf iKHlas ki baKHiya-gari ka karb hai

apne darwaze pe baiTha sochta rahta hun main

mera ghar ajdad ki bara-dari ka karb hai

wo zamana hai ki ab tar-e-nafas bhi hai giran

baad ki manzil to bas KHush-paikari ka karb hai

waqt ki mizan par binai KHandan hai 'sharar'

kor-binon mein bhi ab dida-wari ka karb hai

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina-dar-aina Qad-awari Ka Karb Hai In English By Famous Poet Kaleem Haider Sharar. Aaina-dar-aina Qad-awari Ka Karb Hai is written by Kaleem Haider Sharar. Read famous Poem Aaina-dar-aina Qad-awari Ka Karb Hai for youth and Student by Kaleem Haider Sharar. Free Download Aaina-dar-aina Qad-awari Ka Karb Hai in PDF.