Zor-e-bazu Bhi Hai Aur Samne NaKHchir Bhi Hai
zor-e-bazu bhi hai aur samne naKHchir bhi hai
dekhna ye hai ki tarkash mein koi tir bhi hai
kis tarah ishq-e-majazi ko haqiqi kar lun
samne tu hai baghal mein teri taswir bhi hai
kuchh nahin hai tere hathon mein lakiron ke siwa
baat naseh ki hai lekin KHat-e-taqdir bhi hai
chheDti hai mujhe aa aa ke meri aazadi
go main qaidi hun mere panw mein zanjir bhi hai
mere hone ka mere hosh ko ehsas nahin
warna jo qatra-e-KHun hai wo sharar-gir bhi hai
ahl-e-dil ke liye aazar hai duniya ko mufid
aql ek hosh hai aur hosh ki tabir bhi hai
koi samjhe ki na samjhe tere ashaar 'kalim'
zor-e-'ghaalib' bhi hai aur dilkashi-e-'mir' bhi hai
(782) Peoples Rate This