Inqilab-e-dahr Ruk Ruk Kar Jawan Banta Gaya
inqilab-e-dahr ruk ruk kar jawan banta gaya
jo subuk-sar tha wahi sang-e-garan banta gaya
naghma-e-dil jab baDha aah-o-fughan banta gaya
aasman ek aur zer-e-asman banta gaya
jaane kya bhar di hain us ne is chaman mein shoKHiyan
jo bhi aaya wo chaman ka raaz-dan banta gaya
har-nafas ko apni manzil ka pata milta nahin
jo jahan Thahraw hain ek karwan banta gaya
sard aahon ka tasarruf ho to soz-e-dil kahan
dil se jo shoala uTha wo bhi dhuan banta gaya
be-sabab hota nahin jazbaat-e-dil ka walwala
jis ne samjha aai apna raaz-dan banta gaya
kuchh bahaaron mein KHizan hai kuchh KHizan mein hai bahaar
phul murjhae to ghuncha gulistan banta gaya
aadmi ki asliyat ko aadmi samjha nahin
ek qatra tha jo bahr-e-be-karan banta gaya
hum to baiThe hi rahe apni asiri ko liye
banne wala kaam be-wahm-o-guman banta gaya
'mir'-o-'ghaalib' se baDhe to hazrat-e-iqbaal tak
shaghl sher-o-shaeri ka jawedan banta gaya
dahr mein ye bhi to hain qanun-e-fitrat ke usul
jo nazar se gir gaya wo dilsitan banta gaya
barq ki sar-garmiyan tasnim phir bhi ai 'kalim'
bijliyan girti rahen aur aashiyan banta gaya
(791) Peoples Rate This