Buland-o-past Haqiqat Se Aashna Na Hua
buland-o-past haqiqat se aashna na hua
wo dil ki jis mein koi harf-e-muddaa na hua
wo zinda dil tha main sahta raha gham-e-duniya
usi mein jaan di lekin gurez-pa na hua
chala jo shab ka musafir to is ada se chala
ki jab ruka to dar-e-subh runuma na hua
tumhin batao ki is dil ka kya kiya jae
jo choT kha ke bhi choTon se aashna na hua
sitare toD liye hum ne zuhd-o-taqwa ke
magar jo haqq-e-ibaadat tha wo ada na hua
chale chalo ki abhi subh ki siyahi hai
sahar qarib hai tara koi hua na hua
'kalim' dard-e-mohabbat samajh mein kyun aae
wahi to dard hai jo dard-e-la-dawa na hua
(708) Peoples Rate This