ZaKHmon Ke Nae Phul Khilane Ke Liye Aa
zaKHmon ke nae phul khilane ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa
masti liye aankhon mein bikhere hue zulfen
aa phir mujhe diwana banane ke liye aa
ab lutf isi mein hai maza hai to isi mein
aa ai mere mahbub satane ke liye aa
aa rakh dahan-e-zaKHm pe phir ungliyan apni
dil bansuri teri hai bajaane ke liye aa
han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
mana ki mere ghar se adawat hi tujhe hai
rahne ko na aa aag lagane ke liye aa
pyare teri surat se bhi achchhi hai jo taswir
main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa
aashufta kahe hai koi diwana kahe hai
main kaun hun duniya ko batane ke liye aa
kuchh roz se hum shahr mein ruswa na hue hain
aa phir koi ilzam lagane ke liye aa
ab ke jo wo aa jae to 'ajiz' use le kar
mahfil mein ghazal apni sunane ke liye aa
(1007) Peoples Rate This