Ye Sitam Ki Mahfil-e-naz Hai Kalim Isko Aur Sajae Ja
ye sitam ki mahfil-e-naz hai 'kalim' is ko aur sajae ja
wo dikhaen raqs-e-sitamgari tu ghazal ka saz bajae ja
jo akaD ke shan se jae hai pyar se ye batae ja
ki bulandiyon ki hai aarzu tu dilon mein pahle samae ja
wo jo zaKHm den so qubul hai tere waste wahi phul hai
yahi ahl-e-dil ka usul hai wo rulae jaen tu gae ja
tera sidha sa wo bayan hai teri TuTi-phuTi zaban hai
tere pas hain yahi Thekre tu mahal inhin se banae ja
wo jafa-shiar o sitam-ada tu suKHan-taraaz o ghazal-sara
wo tamam kanTe ugaenge tu tamam phul khilae ja
koi lakh zohra-jabin hai jise chahen hum wo hasin hai
'kalim' us sarapa ghurur ko zara aaina to dikhae ja
(1054) Peoples Rate This