Waqt Ke Dar Par Bhi Hai Bahut Kuchh Waqt Ke Dar Se Aage Bhi
waqt ke dar par bhi hai bahut kuchh waqt ke dar se aage bhi
sham-o-sahar ke sath bhi chaliye sham-o-sahar se aage bhi
aql-o-KHirad ke hangamon mein shauq ka daman chhuT na jae
shauq bashar ko le jata hai aql-e-bashar se aage bhi
dar-o-rasan ki resha-dawani gardan-o-sar tak rahti hai
ahl-e-junun ka panw raha hai gardan-o-sar se aage bhi
mere ghar ko aag laga kar ham-sayon ko hansne do
shoale baDh kar ja pahunchenge mere ghar se aage bhi
ishq ne rah-e-wafa samjhai samjhane ke baad kaha
waqt paDa to jaana hoga rahguzar se aage bhi
shaer fikr-o-nazar ka malik dil ka sultan ghar ka faqir
duniya ka pamal qadam bhi duniya bhar se aage bhi
aankhen jo kuchh dekh rahi hain us se dhoka khaen kya
dil to 'ajiz' dekh raha hai hadd-e-nazar se aage bhi
(851) Peoples Rate This