Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dfe6f658c2b06efc14f64c072c92c89f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Unhen Fariyaad Na-zeba Lage Hai - Kaleem Aajiz Poetry In English - Darsaal

Unhen Fariyaad Na-zeba Lage Hai

unhen fariyaad na-zeba lage hai

sitam karte bahut achchha lage hai

KHuda us bazm mein hafiz hai dil ka

yahan har roz ek charka lage hai

unhen apne bhi lagte hain parae

paraya bhi hamein apna lage hai

baghair us bewafa se ji lagae

jo sach puchho to ji kis ka lage hai

mohabbat dil-lagi jaano ho pyare

wahi jaane hai dil jis ka lage hai

uTha aage se saqi jam-o-mina

dil achchha ho to sab achchha lage hai

zara dekh aaina meri wafa ka

ki tu kaisa tha ab kaisa lage hai

ghazal sun kar meri kahne lage wo

mujhe ye shaKHs diwana lage hai

zarur aaya karo jalse mein 'ajiz'

na aao ho to sannaTa lage hai

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unhen Fariyaad Na-zeba Lage Hai In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Unhen Fariyaad Na-zeba Lage Hai is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Unhen Fariyaad Na-zeba Lage Hai for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Unhen Fariyaad Na-zeba Lage Hai in PDF.