TalKHiyan IsMein Bahut Kuchh Hain Maza Kuchh Bhi Nahin

talKHiyan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin

zindagi dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin

shama KHamosh bhi rahte hue KHamosh kahan

is tarah kah diya sab kuchh ki kaha kuchh bhi nahin

hum gadayan-e-mohabbat ka yahi sab kuchh hai

garche duniya yahi kahti hai wafa kuchh bhi nahin

ye naya tarz-e-karam hai tera ai fasl-e-bahaar

le liya pas mein jo kuchh tha diya kuchh bhi nahin

hum ko malum na tha pahle ye aain-e-jahan

us ko dete hain saza jis ki KHata kuchh bhi nahin

wahi aahen wahi aansu ke do qatre 'ajiz'

kya teri shairi mein in ke siwa kuchh bhi nahin

(1426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TalKHiyan IsMein Bahut Kuchh Hain Maza Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. TalKHiyan IsMein Bahut Kuchh Hain Maza Kuchh Bhi Nahin is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem TalKHiyan IsMein Bahut Kuchh Hain Maza Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download TalKHiyan IsMein Bahut Kuchh Hain Maza Kuchh Bhi Nahin in PDF.