Qaem Hai Surur-e-mai-e-gulfam Hamara
qaem hai surur-e-mai-e-gulfam hamara
kya gham hai agar TuT gaya jam hamara
itna bhi kisi dost ka dushman na ho koi
taklif hai un ke liye aaram hamara
phulon se mohabbat hai taqaza-e-tabiat
kanTon se ulajhna to nahin kaam hamara
bhule se koi nam wafa ka nahin leta
duniya ko abhi yaad hai anjam hamara
ghair aa ke bane hain sabab-e-raunaq-e-mahfil
ab aap ki mahfil mein hai kya kaam hamara
mausam ke badalte hi badal jati hain aankhen
yaran-e-chaman bhul gae nam hamara
(835) Peoples Rate This