Mujhe Is Ka Koi Gila Nahin Ki Bahaar Ne Mujhe Kya Diya
mujhe is ka koi gila nahin ki bahaar ne mujhe kya diya
teri aarzu to nikal di tera hausla to baDha diya
go sitam ne tere har ek tarah mujhe na-umid bana diya
ye meri wafa ka kamal hai ki nibah kar ke dikha diya
koi bazm ho koi anjuman ye shiar apna qadim hai
jahan raushni ki kami mili wahin ek charagh jala diya
tujhe ab bhi mere KHulus ka na yaqin aae to kya karun
tere gesuon ko sanwar kar tujhe aaina bhi dikha diya
meri shairi mein tere siwa koi majra hai na muddaa
jo teri nazar ka fasana tha wo meri ghazal ne suna diya
ye gharib 'ajiz'-e-be-watan ye ghubar-e-KHatir-e-anjuman
ye KHarab jis ke liye hua usi bewafa ne bhula diya
(2695) Peoples Rate This