Meri Subh-e-gham Bala Se Kabhi Sham Tak Na Pahunche
meri subh-e-gham bala se kabhi sham tak na pahunche
mujhe Dar ye hai burai tere nam tak na pahunche
mere pas kya wo aate mera dard kya miTate
mera haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche
ho kisi ka mujh pe ehsan ye nahin pasand mujh ko
teri subh ki tajalli meri sham tak na pahunche
teri be-ruKHi pe zalim mera ji ye chahta hai
ki wafa ka mere lab par kabhi nam tak na pahunche
main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hun
wo sada hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche
wo sanam bigaD ke mujh se mera kya bigaD lega
kabhi raaz khol dun main to salam tak na pahunche
mujhe lazzat-e-asiri ka sabaq paDha rahe hain
jo nikal ke aashiyan se kabhi dam tak na pahunche
unhen mehrban samajh len mujhe kya gharaz paDi hai
wo karam ka hath hi kya jo awam tak na pahunche
hue faiz-e-mai-kada se sabhi faizyab lekin
jo gharib tishna-lab the wahi jam tak na pahunche
jise main ne jagmagaya usi anjuman mein saqi
mera zikr tak na aae mera nam tak na pahunche
tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna
main nahin hun dur itna ki salam tak na pahunche
(1012) Peoples Rate This