Meri Masti Ke Afsane Rahenge

meri masti ke afsane rahenge

jahan gardish mein paimane rahenge

nikale jaenge ahl-e-mohabbat

ab is mahfil mein begane rahenge

yahi andaz-e-mai-noshi rahega

to ye shishe na paimane rahenge

rahega silsila dar-o-rasan ka

jahan do chaar diwane rahenge

jinhen gulshan mein Thukraya gaya hai

unhi phulon ke afsane rahenge

KHirad zanjir pahnati rahegi

jo diwane hain diwane rahenge

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Masti Ke Afsane Rahenge In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Meri Masti Ke Afsane Rahenge is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Meri Masti Ke Afsane Rahenge for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Meri Masti Ke Afsane Rahenge in PDF.