Mere Hi Lahu Par Guzar-auqat Karo Ho
mere hi lahu par guzar-auqat karo ho
mujh se hi amiron ki tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
wo dost ho dushman ko bhi tum mat karo ho
hum KHak-nashin tum suKHan-ara-e-sar-e-baam
pas aa ke milo dur se kya baat karo ho
hum ko jo mila hai wo tumhin se to mila hai
hum aur bhula den tumhein kya baat karo ho
yun to kabhi munh pher ke dekho bhi nahin ho
jab waqt paDe hai to mudaraat karo ho
daman pe koi chhinT na KHanjar pe koi dagh
tum qatl karo ho ki karamat karo ho
bakne bhi do 'ajiz' ko jo bole hai bake hai
diwana hai diwane se kya baat karo ho
(3450) Peoples Rate This