Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ce8226a154ee121077226ff9ff0a1c3f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Roun Hun Rona Mujhe Bhae Hai - Kaleem Aajiz Poetry In English - Darsaal

Main Roun Hun Rona Mujhe Bhae Hai

main roun hun rona mujhe bhae hai

kisi ka bhala is mein kya jae hai

dil aae hai phir dil mein dard aae hai

yun hi baat mein baat baDh jae hai

koi der se hath phailae hai

wo na-mehrban aae hai jae hai

mohabbat mein dil jae gar jae hai

jo khoe nahin hai wo kya pae hai

junun sab ishaare mein kah jae hai

magar aql ko kab samajh aae hai

pukarun hun lekin na baz aae hai

ye duniya kahan Dubne jae hai

KHamoshi mein har baat ban jae hai

jo bole hai diwana kahlae hai

qayamat jahan aaegi aaegi

yahan subh aae hai sham aae hai

junun KHatm dar-o-rasan par nahin

ye rasta bahut dur tak jae hai

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Roun Hun Rona Mujhe Bhae Hai In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Main Roun Hun Rona Mujhe Bhae Hai is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Main Roun Hun Rona Mujhe Bhae Hai for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Main Roun Hun Rona Mujhe Bhae Hai in PDF.