Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_89bfb9fecf2470442aebd9847b62b519, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ku-e-qatil Hai Magar Jaane Ko Ji Chahe Hai - Kaleem Aajiz Poetry In English - Darsaal

Ku-e-qatil Hai Magar Jaane Ko Ji Chahe Hai

ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai

ab to kuchh faisla kar jaane ko ji chahe hai

log apne dar-o-diwar se hoshiyar rahen

aaj diwane ka ghar jaane ko ji chahe hai

dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye

zindagi aisi ki mar jaane ko ji chahe hai

dil ko zaKHmon ke siwa kuchh na diya phulon ne

ab to kanTon mein utar jaane ko ji chahe hai

chhanw wadon ki hai bas dhoka hi dhoka ai dil

mat Thahar garche Thahar jaane ko ji chahe hai

zindagi mein hai wo uljhan ki pareshan ho kar

zulf ki tarah bikhar jaane ko ji chahe hai

qatl karne ki ada bhi hasin qatil bhi hasin

na bhi marna ho to mar jaane ko ji chahe hai

ji ye chahe hai ki puchhun kabhi un zulfon se

kya tumhaara bhi sanwar jaane ko ji chahe hai

rasan-o-dar idhar kakul-o-ruKHsar udhar

dil bata tera kidhar jaane ko ji chahe hai

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ku-e-qatil Hai Magar Jaane Ko Ji Chahe Hai In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Ku-e-qatil Hai Magar Jaane Ko Ji Chahe Hai is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Ku-e-qatil Hai Magar Jaane Ko Ji Chahe Hai for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Ku-e-qatil Hai Magar Jaane Ko Ji Chahe Hai in PDF.