Kaun Aajiz Sila-e-tishna-e-dahani Mange
kaun 'ajiz' sila-e-tishna-e-dahani mange
ye jahan aag use deta hai jo pani mange
dil bhi gardan bhi hatheli pe liye phirta hun
jaane kab kis ka lahu teri jawani mange
toDiye maslahat-e-waqt ki diwaron ko
rah jis waqt tabiat ki rawani mange
mangna jurm hai fankar se tartib-e-KHayal
gesu-e-waqt jab aashufta-bayani mange
saqi tu chahe to wo daur bhi aa sakta hai
ki mile jam-e-sharab us ko jo pani mange
kis ka sina hai jo zaKHmon se nahin hai mamur
kya koi tujh se mohabbat ki nishani mange
dil to de hi chuka ab hai ye irada apna
jaan bhi de dun jo wo dushman-e-jaani mange
hain mere shisha-e-sahba-e-suKHan mein donon
nai mange koi mujh se ki purani mange
(812) Peoples Rate This