Kahan Nasib Wo Kaifiyyat-e-dawam Abhi
kahan nasib wo kaifiyyat-e-dawam abhi
ki mai-kashi hai ba-qaid-e-subu-o-jam abhi
hawas-o-hosh ko kahiye mera salam abhi
junun ko aql se lena hai intiqam abhi
na ja sakegi wahan tak nigah-e-am abhi
mera mazaq bahut hai buland-baam abhi
kuchh aur lijiye dar-o-rasan se kaam abhi
junun ka josh hai phaila hua tamam abhi
KHushi kahan ki KHushi ka nahin maqam abhi
na meri subh abhi hai na meri sham abhi
usi tarah se hai be-rabti-e-kalam abhi
fughan bhi aai hai lab par to na-tamam abhi
hai ahl-e-hosh ka kuchh aur hi payam abhi
magar mujhe to hai diwana-pan se kaam abhi
jahan mein aane ko aae to inqalab bahut
badal saki na sahar se hamari sham abhi
usi ko hasil-e-umr-e-wafa banana hai
jo ek KHalish si hai dil mein barae nam abhi
yahan to din ko bhi tarikiyan barasti hain
hamari subh se achchhi hai un ki sham abhi
(783) Peoples Rate This