Jahan Gham Mila UThaya Phir Use Ghazal Mein Dhaala

jahan gham mila uThaya phir use ghazal mein Dhaala

yahi dard-e-sar KHarida yahi rog hum ne pala

tere hath se mili hai mujhe aansuon ki mala

teri zulf ho do-guna tera husn ho do-baala

ye saman use dikhaun saba ja use bula la

na bahaar hai na saqi na sharab hai na pyala

mere dard ki haqiqat koi mere dil se puchhe

ye charagh wo hai jis se mere ghar mein hai ujala

use anjuman mubarak mujhe fikr-o-fan mubarak

yahi mera taKHt-e-zarrin yahin meri mirg-chhaala

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Gham Mila UThaya Phir Use Ghazal Mein Dhaala In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Jahan Gham Mila UThaya Phir Use Ghazal Mein Dhaala is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Jahan Gham Mila UThaya Phir Use Ghazal Mein Dhaala for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Jahan Gham Mila UThaya Phir Use Ghazal Mein Dhaala in PDF.