Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_003612766a2aa55b20eed5d1a86940e3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Imtihan-e-shauq Mein Sabit-qadam Hota Nahin - Kaleem Aajiz Poetry In English - Darsaal

Imtihan-e-shauq Mein Sabit-qadam Hota Nahin

imtihan-e-shauq mein sabit-qadam hota nahin

ishq jab tak waqif-e-adab-e-gham hota nahin

un ki KHatir se kabhi hum muskura uTThe to kya

muskura lene se dil ka dard kam hota nahin

jo sitam hum par hai us ki nauiyat kuchh aur hai

warna kis par aaj duniya mein sitam hota nahin

tum jahan ho bazm bhi hai shama bhi parwana bhi

hum jahan hote hain ye saman baham hota nahin

raat bhar hoti hain kya kya anjuman-araiyan

shama ka koi sharik-e-subh-e-gham hota nahin

mangta hai hum se saqi qatre qatre ka hisab

ghair se koi hisab-e-besh-o-kam hota nahin

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Imtihan-e-shauq Mein Sabit-qadam Hota Nahin In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Imtihan-e-shauq Mein Sabit-qadam Hota Nahin is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Imtihan-e-shauq Mein Sabit-qadam Hota Nahin for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Imtihan-e-shauq Mein Sabit-qadam Hota Nahin in PDF.