Hum Ko To KHair Pahunchna Tha Jahan Tak Pahunche

hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche

jo hamein rok rahe the wo kahan tak pahunche

fasl-e-gul tak rahe ya daur-e-KHizan tak pahunche

baat jab nikli hai munh se to jahan tak pahunche

mere ashaar mein hai husn-e-maani ki talash

log ab tak na mere dard-e-nihan tak pahunche

mujh ko rahne do mere dard ki lazzat mein KHamosh

ye wo afsana nahin hai jo zaban tak pahunche

teri zulfon ki ghani chhanw kise milti hai

kis ki taqdir-e-rasa hai ki wahan tak pahunche

manzil-e-dar-o-rasan bhi hai ruKH-o-zulf ke baad

dekhiye shauq hamein le ke kahan tak pahunche

tarjuman apna banaya hai mujhe rindon ne

kash aawaz meri pir-e-mughan tak pahunche

aap ke mashghala-e-sher-o-suKHan se 'ajiz'

kaam to kuchh na hua nam jahan tak pahunche

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko To KHair Pahunchna Tha Jahan Tak Pahunche In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Hum Ko To KHair Pahunchna Tha Jahan Tak Pahunche is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Hum Ko To KHair Pahunchna Tha Jahan Tak Pahunche for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Hum Ko To KHair Pahunchna Tha Jahan Tak Pahunche in PDF.