Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_799367e26c9c4783ab4893ad31d55956, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har ChoT Pe Puchhe Hai Bata Yaad Rahegi - Kaleem Aajiz Poetry In English - Darsaal

Har ChoT Pe Puchhe Hai Bata Yaad Rahegi

har choT pe puchhe hai bata yaad rahegi

hum ko ye zamane ki ada yaad rahegi

din raat ke aansu sahar o sham ki aahen

is bagh ki ye aab-o-hawa yaad rahegi

kis dhum se baDhti hui pahunchi hai kahan tak

duniya ko teri zulf-e-rasa yaad rahegi

karte rahenge tum se mohabbat bhi wafa bhi

go tum ko mohabbat na wafa yaad rahegi

kis baat ka tu qaul-o-qasam le hai barahman

har baat buton ki ba-KHuda yaad rahegi

chalte gae hum phul banate gae chhaale

sahra ko meri laghzish-e-pa yaad rahegi

jis bazm mein tum jaoge us bazm ko 'ajiz'

ye guftugu-e-be-sar-o-pa yaad rahegi

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har ChoT Pe Puchhe Hai Bata Yaad Rahegi In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Har ChoT Pe Puchhe Hai Bata Yaad Rahegi is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Har ChoT Pe Puchhe Hai Bata Yaad Rahegi for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Har ChoT Pe Puchhe Hai Bata Yaad Rahegi in PDF.