Hai Inhin Do Namon Se Har Ek Afsane Ka Nam
hai inhin do namon se har ek afsane ka nam
ek tera nam hai ek tere diwane ka nam
tujh se raushan hai charagh-e-mahfil-e-dar-o-rasan
mujh se bhi is daur mein zinda hai parwane ka nam
teri zulf-o-chashm-o-lab ka nam hai meri ghazal
tera andaz-e-suKHan mere ghazal gane ka nam
chal usi andaz se han chal usi andaz se
shoKHi-e-baad-e-saba hai tere iThlane ka nam
mauj-e-KHushbu-e-ghazal be-rangi-e-ru-e-ghazal
ek tere aane ka hai nam ek tere jaane ka nam
zinda-e-jawed meri shairi ne kar diya
nam tere gesuon ka aur mere shane ka nam
phul toDe koi patthar hum ko mara jae hai
tu ne itna kar diya badnam diwane ka nam
hum hain 'ajiz' aabru-e-bazm-e-yaran-e-ghazal
ab isi aaine se hai aaina-KHane ka nam
(760) Peoples Rate This