Gham-e-dil Hi Gham-e-dauran Gham-e-jaanana Banta Hai
gham-e-dil hi gham-e-dauran gham-e-jaanana banta hai
yahi gham sher banta hai yahi afsana banta hai
isi se garmi-e-dar-o-rasan hai inqilabon mein
bahaaron mein yahi zulf-o-qad-e-jaanana banta hai
saron ke KHum surahi gardanon ki jam zaKHmon ke
muhayya jab ye ho lete hain tab mai-KHana banta hai
bigaDta kya hai parwane ka jal kar KHak hone mein
ki phir parwane hi ki KHak se parwana banta hai
nigah-e-kam se meri chaak-damani ko mat dekho
hazaron hoshyaron mein koi diwana banta hai
KHarida ja nahin sakta hai saqi zarf rindon ka
bahut shishe pighalte hain to ek paimana banta hai
mere hi donon hath aate hain kaam un ke sanwarne mein
dikhata hai koi aaina koi shana banta hai
baDa sarmaya hai sab kuchh luTa dena mohabbat mein
faqirana libas aate hain dil shahana banta hai
(824) Peoples Rate This