Badli Si Apni Aaankhon Mein Chhai Hui Si Hai

badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai

bhuli hui si yaad phir aai hui si hai

mat hath rakh sulagte kaleje pe ham-nashin

ye aag dekhne mein bujhai hui si hai

leta hun sans bhi to bhaTakta hai tan-badan

rag rag mein ek nok samai hui si hai

be-saKHta kahe hai jo dekhe hai zaKHm-e-dil

ye choT to unhin ki lagai hui si hai

muddat hui jalai gai shaKH-e-ashiyan

ab tak isi tarah se jalai hui si hai

jo in ki baat hai wahi meri ghazal ki baat

lekin zara ye baat banai hui si hai

chheDi ghazal jo tum ne to aisa laga 'kalim'

KHushbu kisi ki zulf ki aai hui si hai

(633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badli Si Apni Aaankhon Mein Chhai Hui Si Hai In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Badli Si Apni Aaankhon Mein Chhai Hui Si Hai is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Badli Si Apni Aaankhon Mein Chhai Hui Si Hai for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Badli Si Apni Aaankhon Mein Chhai Hui Si Hai in PDF.