BaDi Talab Thi BaDa Intizar Dekho To
baDi talab thi baDa intizar dekho to
bahaar lai hai kaisi bahaar dekho to
ye kya hua ki salamat nahin koi daman
chaman mein phul khile hain ki KHar dekho to
lahu dilon ka charaghon mein kal bhi jalta tha
aur aaj bhi hai wahi karobar dekho to
yahan har ek rasan-o-dar hi dikhata hai
ajib shahr ajib shahryar dekho to
na koi shana bacha hai na koi aaina
daraaz-dasti-e-gesu-e-yar dekho to
kisi se pyar nahin phir bhi pyar hai sab se
wo mast-e-husn hai kya hoshiyar dekho to
wo chup bhi baiThe hai to aisa ban ke baiThe hai
har ek ada ye kahe hai pukar dekho to
abhi to KHun ka sindur hi lagaya hai
abhi kare hai wo kya kya singar dekho to
ada hamin ne sikhai nazar hamin ne di
hamin se aankh churao ho yar dekho to
asir kar ke hamein kya phire hai itraata
gale mein Dale wo phulon ka haar dekho to
(799) Peoples Rate This