Nisar Us Par Na Hone Se Na Tang Aaya Na Aar Aai

nisar us par na hone se na tang aaya na aar aai

mere kis kaam aaKHir zindagi-e-mustaar aai

yahin dekha ki ghalba ek ko hota hai lakhon par

tabiat ek bar aai nadamat lakh bar aai

tere dil se tere lab tak teri aankhon se mizhgan tak

mohabbat be-qarar aai murawwat sharmsar aai

sharab-e-ishq se karne ko tha tauba ki yar aaya

mere aaDe ye neki kab ki ai parwardigar aai

dil-e-mahzun ki aahen mast karti hain mujhe 'kaifi'

ki jab li sans main ne mujh ko bu-e-zulf-e-yar aai

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nisar Us Par Na Hone Se Na Tang Aaya Na Aar Aai In English By Famous Poet Kaifi Hyderabadi. Nisar Us Par Na Hone Se Na Tang Aaya Na Aar Aai is written by Kaifi Hyderabadi. Read famous Poem Nisar Us Par Na Hone Se Na Tang Aaya Na Aar Aai for youth and Student by Kaifi Hyderabadi. Free Download Nisar Us Par Na Hone Se Na Tang Aaya Na Aar Aai in PDF.