Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6628b2a1a5a90c063f4ed3ad583d1621, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Taur Har Tarah Ki Jo Zillat Mujhi Ko Hai - Kaifi Hyderabadi Poetry In English - Darsaal

Har Taur Har Tarah Ki Jo Zillat Mujhi Ko Hai

har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai

duniya mein kya kisi se mohabbat mujhi ko hai

KHud main ne apne-ap ko bad-nam kar diya

sabit hua ki mujh se adawat mujhi ko hai

tum bhi to roz dekhte rahte ho aaina

sach bolo kya pasand ye surat mujhi ko hai

tum ko to kuchh zarur nahin pas-e-dosti

han ye zarur hai ki zarurat mujhi ko hai

jab lutf tha ki us ko bhi hota mera KHayal

'kaifi' ghazab to ye hai mohabbat mujhi ko hai

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Taur Har Tarah Ki Jo Zillat Mujhi Ko Hai In English By Famous Poet Kaifi Hyderabadi. Har Taur Har Tarah Ki Jo Zillat Mujhi Ko Hai is written by Kaifi Hyderabadi. Read famous Poem Har Taur Har Tarah Ki Jo Zillat Mujhi Ko Hai for youth and Student by Kaifi Hyderabadi. Free Download Har Taur Har Tarah Ki Jo Zillat Mujhi Ko Hai in PDF.