Talash
ye bujhi si sham ye sahmi hui parchhaiyan
KHun-e-dil bhi is faza mein rang bhar sakta nahin
aa utar aa kanpte honTon pe ai mayus aah
saqf-e-zindan par koi parwaz kar sakta nahin
jhilmilae meri palkon pe mah-o-KHur bhi to kya?
is andhere ghar mein ek tara utar sakta nahin
luT li zulmat ne ru-e-hind ki tabindagi
raat ke kandhe pe sar rakh kar sitare so gae
wo bhayanak aandhiyan, wo abtari, wo KHalfashaar
karwan be-rah ho nikla, musafir kho gae
hain isi aiwan-e-be-dar mein yaqinan rahnuma
aa ke kyun diwar tak naqsh-e-qadam gum ho gae
dekh ai josh-e-amal wo saqf ye diwar hai
ek rauzan khol dena bhi koi dushwar hai
(921) Peoples Rate This