Pyar Ka Jashn
pyar ka jashn nai tarah manana hoga
gham kisi dil mein sahi gham ko miTana hoga
kanpte honTon pe paiman-e-wafa kya kahna
tujh ko lai hai kahan laghzish-e-pa kya kahna
mere ghar mein tere mukhDe ki ziya kya kahna
aaj har ghar ka diya mujh ko jalana hoga
ruh chehron pe dhuan dekh ke sharmati hai
jhenpi jhenpi si mere lab pe hansi aati hai
tere milne ki KHushi dard bani jati hai
hum ko hansna hai to auron ko hansana hoga
soi soi hui aaankhon mein chhalakte hue jam
khoi khoi hui nazron mein mohabbat ka payam
lab shirin pe meri tishna-labi ka inam
jaane inam milega ki churana hoga
meri gardan mein teri sandali bahon ka ye haar
abhi aansu the in aaankhon mein abhi itna KHumar
main na kahta tha mere ghar mein bhi aaegi bahaar
shart itni thi ki pahle tujhe aana hoga
(945) Peoples Rate This