Pir-e-tasma-e-pa
mere kandhe pe baiTha koi
paDhta rahta hai injil o quran o wed
makkhiyan kan mein bhinbhinati hain
zaKHmi hain kan
apni aawaz kaise sunun
rana hindu tha akbar musalman tha
sanjai wo pahla insan tha
hastinapur mein jis ne qabl-e-masih
telewision banaya
aur ghar baiThe ek andhe raja ko
yudh ka tamasha dikhaya
aadmi chand par aaj utra to kya
ye taraqqi nahin
ab se pahle, bahut pahle
jab zarra TuTa na tha
chashma jauhar ka phuTa na tha
farsh se arsh tak ja chuka hai koi
ye aur aisi bahut si jahaalat ki baaten
mere kandhe pe hoti hain
kandhe jhuke ja rahe hain
qad mera raat din ghaT raha hai
sar kahin panw se mil na jae
(924) Peoples Rate This