Makan
aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai
aaj ki raat na footpath pe nind aaegi
sab uTho, main bhi uThun tum bhi uTho, tum bhi uTho
koi khiDki isi diwar mein khul jaegi
ye zamin tab bhi nigal lene pe aamada thi
panw jab TuTti shaKHon se utare hum ne
un makanon ko KHabar hai na makinon ko KHabar
un dinon ki jo guphaon mein guzare hum ne
hath Dhalte gae sanche mein to thakte kaise
naqsh ke baad nae naqsh nikhaare hum ne
ki ye diwar buland, aur buland, aur buland
baam o dar aur, zara aur sanware hum ne
aandhiyan toD liya karti thin shamon ki lawen
jaD diye is liye bijli ke sitare hum ne
ban gaya qasr to pahre pe koi baiTh gaya
so rahe KHak pe hum shorish-e-tamir liye
apni nas nas mein liye mehnat-e-paiham ki thakan
band aankhon mein usi qasr ki taswir liye
din pighalta hai usi tarah saron par ab tak
raat aankhon mein khaTakti hai siyah tir liye
aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai
aaj ki raat na footpath pe nind aaegi
sab uTho, main bhi uThun tum bhi uTho, tum bhi uTho
koi khiDki isi diwar mein khul jaegi
(1013) Peoples Rate This