Kohre Ka Khet
wo sard raat jabki safar kar raha tha main
ranginiyon se zarf-e-nazar bhar raha tha main
tezi se jangalon mein uDi ja rahi thi rail
KHwabida kaenat ko chaunka rahi thi rail
muDti uchhalti kanpti chinghaDti hui
kohre ki wo dabiz rida phaDti hui
pahiyon ki gardishon mein machalti thi ragni
aahan se aag ban ke nikalti thi ragni
pahunchi jidhar zamin ka kaleja hila diya
daman mein tirgi ke gareban bana diya
jhonke hawa ke barf bichhate the rah mein
jalwe sama rahe the laraz kar nigah mein
dhoke se chhu gain jo kahin sard ungliyan
bichchhu sa Dank marne lagti thin khiDkiyan
pichhle pahar ka narm dhundlaka tha pur-fishan
mayusiyon mein jaise umidon ka karwan
be-nur ho ke Dubne wala tha mahtab
kohre mein khup gai thi sitaron ki aab-o-tab
qabze se tirgi ke sahar chhuTne ko thi
mashriq ke hashiye mein kiran phuTne ko thi
kohre mein tha Dhake hue baghon ka ye saman
jis tarah zer-e-ab jhalakti hon bastiyan
bhigi hui zamin thi nami si faza mein thi
ek kisht-e-barf thi ki muallaq hawa mein thi
jadu ke farsh sehr ke sab saqf-o-baam the
dosh-e-hawa pe pariyon ke simin KHiyam the
thi ThanDe ThanDe nur mein khoi hui nigah
Dhal kar faza mein aai thi huron ki KHwab-gah
ban ban ke phen su-e-falak dekhta hua
dariya chala tha chhoD ke daman zamin ka
is shabnami dhundalke mein bagule the yun rawan
maujon pe mast ho ke chalen jaise machhliyan
Dala kabhi fazaon mein KHat kho gae kabhi
jhalke kabhi ufuq mein nihan ho gae kabhi
engine se uD ke kanpta phirta tha yun dhuan
leta tha lahr khet mein kohre ke aasman
us waqt kya tha ruh pe sadma na puchhiye
yaad aa raha tha kis se bichhaDna na puchhiye
dil mein kuchh aise ghaw the tir-e-malal ke
ro ro diya tha khiDki se gardan nikal ke
(1165) Peoples Rate This